Ab k jab main uske pass nahi hun
Ay khuda tum uska khayal rakhna
Mere firk bahut kar li par ab
Use mehfuz roz-o-maah-o saal rakhna
Dil ka woh nazuk bada hai
Aur kaisi ziid pe adda hai
Mujhe bhulne ka dawa
Sabse karta chal raha hai
Yahan se apna aanchal use kaise badhaun
Aye ghata ab tum uska khayal rakhna
Na tark de, na de daliilen
Na koi safai mai use chahun
Wo khud bhi sab janta hai
Khuda bhi mera dekhta hai
Ghayal dil bhale hua par
Mera hausala jita raha hai
Aye Mujhe bikherne wale
Tujhe sada sameti rahi hun
Hai gili palken, kaise use nazar milaun
Aye hawa ab tum uska khayal rakhna
Har Shai mei meri tu chupa hai
Par Kyun mujhse rutha hua hai
Bas itna hi hai fasaana
Bas itni hi hai kahani
Teri ankhon ke ansun moti
Mere dil ka lahu hai paani
Tujhe mangti hun ab rab se
Sun ke bhi baaten kyun sab se
Apna haanth ab mai us tak kaise bhadhaun
Aye raat ki hantheli uska khayal rakhna
Woh thaka hua hai shaam se hi
Pareshan hai mere naam se hi
Mujhe dhundhta nahi hai
Par ankhen mundta nahi hai
Mere zirk se hai tuabaa
Mera wajood hai faani
Mujhe bhulne wale ab kyun
Khojte hain meri nishani
Main use dekh ab use kareeb aaaun
Aye chand falak se uska khayal rakhna
Mere barbadiyon k qisse
Failen hain aag ban kar
Kahin ghar na phunk den uska
Uske ghar ka charaag ban kar
Aathon pehr zahen mei
Bas ye baat hi dhaudhti hai
Woh kashish kaisi hai akhir
Jo mujhse tujhse jodhti hai
Ab yeh tabeezen use kaise pehnaun
Aye mere sazdon uska khayal rakhna
No comments:
Post a Comment