Wednesday, August 27, 2008

yeh meri jaan garima k liye likha tha


kaise mein bhulun, tumhari wohh subahen..
kaise na yaad karun, wohh mehkti shamen..
tere kandhon pe sar jhuka kar ,

wohh humara aapna jahan khojna
yunhi rahen saath
har ghadhi yehi sochna
un gazalon ko
aapni zindagi se jodhna…
kabhi haanth mila kar
lakeron ko jodhna
kismat ki likhai par,
wohh afsoos humara
aur umid par phir chor dena jamana sara
wohh ansu tere
ab bhi meri chunniyon pe chipke hain…
wohh baatein aapni raaz ki..
abhi meri dil mei chhipk hain…
tum rona nahi, ki dil mera bhi bhar jayega..
phir suji ankhon ka bahana kis k sar jayega
wohh ghadi abhi
rok rakhi hai teri yaad mei
shayad yunhi yeh lamhan kahin tham jayega
meri yaad tumhe bhi aksar aati toh hogi…
aapne khayaon mei mere sapne sajati toh hogi…

jo bhej rahi ho hawaon k saath meri paas…
un chittiyon ki khabar tum tak bhi aati toh hogi


No comments: