Surat’e haal bhi chupaya na gaya
Sabab dard ka bhi bataya na gaya
Ris gaya chashm se ansu ki tarah
Wo gaya yuh ki bulaya na gaya
Waqt k saath beh jana munasib tha
Bas woh humse bahaya na gaya
Fans k reh gaya apni hi lakiron mei
Ruh ko jism ka kafn udhaya na gaya
Ruk ja k Dekh lu nazar bhar tujhe
Khuda phir koi aisa banaya na gaya
Ji mei aya to kai baar ruk lun usko
Mazburiyon ko lekin sunaya na gaya
दिव्य हिमाचल टीवी | सतपाल ख़याल | नई ग़ज़ल
6 months ago
1 comment:
Surat’e haal bhi chupaya na gaya,
Sabab dard ka bhi bataya na gaya.
Ris gaya chashm se ansu ki tarah,
Wo gaya yu ki bulaya na gaya....
"Surat-e-haal" to ultimate hai hi....
Ye chaar lines jo hain .... wo kamal hain.... realllly outstanding....
main bas itna hi kahunga -
Kyun tapan si mujhko lagti hai tere har lafz main,
Ye kalam hai teri ya ki hai ik shola aag ka...
Keep up the good work dear...
Post a Comment