Yeh daur nahi juno’e ishq mei fana hone ka
Yeh daur hai retili zami par ki saba hone ka
Tut kar jo ankhon mei chubhe wo khawab kis kaam k
Ab waqt nahi mai mei dub ghumzada hone ka
Duwa, wafa, ishq, ibadaat purani baatien hain sari
Hayat’e hijr mei ab ghum kaisa zuda hone ka
Na dalil chahi na gila kya, us bewafa ko bhula diya
Abhi khojta hai sabab wo humse kafa hone ka
Ruswai ko shuaharat samjhta hai aaj ka aadami
Ab Har ek farik karta hai dawaa khuda hone ka
1 comment:
bahut durse se aaye the sunke,saki tere, maikhane ko hum...
per afsos tarste rah gaye ,
ek paimane ko hum...............
Purnima kahte hi na tarif ke liye alfazo ka hona bahut jaruri hi,
per kya karu aaj koi alfaz hee nhi,
aur fir bo tarif hee kya jo chand alfazo me vaya ho jaye...
Post a Comment